Saturday 14 March 2015

Zameen kha  Gai Asmaan Kaisy kaisy.

Tazeeb wa ravait ka aik dor khatam hoa.
Wo zahen jo ilam adab ka khazana tha'ta khaak hoa.
Danish war'adeeb'mohqaq'compair abaid ullah baig aub hmary darmihan nhai rahy.
Abaid ullah Baig ko shourat t.v program "kasooti" say hasil hoe.es program kay zariye uno nay nay daikhyne walo ko apni zahanat aor shakhsiyat ka garwaida bna liya.
en kay mutalya ki wusat aor hafize kamal ka tha.ilmu wa adab ki dunyia ki beshtar maroof shakhsiyat nay es program ma hisa liya.aor uno nay Abaid ullah Baig ki zahni salhytoo ka itraf kiya.
ye program en ki waja shurat bana'lakin dar haqiqat woh buht achy adeeb thy aor behtareen muqaq bi.
t.v pr en ka program 'salabi kay sath" apni noyait ka munfirad program tha.js ma uno nay Pakistan kay mukhtalif ki qadeem tarekhi hasiyat kay bray ma taqeq ki aor dustawaisy filme bna kr en ka husan dunyia kay samnye peesh kiya.
buht kam log ye bat jantay hain k mahir shakari bi thy.aik bar gaftugu kay duran uno nay bray tasaf say kaha k uno nay shakaraat par mazameen likhy thy'shujaye risala mian shaya hoye thy.mudat hoe ye rasala bund ho chuka hai.aub en mazameen ka milna mushkil hai'
Riaz sahib kay pas "al shujah"ki filaye mahfooz the.uno nay baig sahib ko ye shumare bhijwa diya tu buht khush hoye.
en ka novel "aor insan zinda tha" Imran daigest main silsila war shaya hoa. ek aor novelb "rajpoot" kay naam say likha.en kay novels main adab aor tarekh  ka buht khubsurat imtazaj nazar ata hai.sada say jumlu ki mainny khaazi kaiynaat kay gharay razoo ka pta dyti hai.sachiya kasheed karty hoye en, ki ghari sochb aor fikre pukhtage kahani ko aik naye andaz ka waase mutaliya en ki tahreroon main namuya hai.lakin woh en ki adabi hasiyat ko mutasir nahi krta.
Baig sahib ilmiyat aor kabiliyat kay sath sath buht khub syrat insab bi thy.hans mukh'buzla sanaj 'saghota mizaj'
yen kahna mushkil hai kay en ki dosti kis kay sath the.riaz sahib'babar sahib'khawar sahib'amir sahib'azar sub hi kay sath en ka qurbat aor muhabat ka rishta tha.Salma bhabi ki muhabat aor ikhlaq kay bi sub hi log garwaida thy.
baig bhai ko qudrat nay husan kalaam nawaza tha.kabi tareekh par ghatugu chere jati tu.en ki zihanat aor waasi mutaliya ka kalaam samnye ata.bray sada aor salisay andaz main daqeq ghatiya suljati chali jati.ghantoo ghur jaty'ghuzary ka ehsas hi na hota.bawajod es kay kay zainat aor ilam main kahe agay thy.kabi apni zaini bartari aor barhaai si inkasaari aor shafqat wa muhabat the.such ye hai woh aik behtareen aor suchy insan thy.aik aisy insan jin say  sirf aik martaba milnye wala shakhas bi en say muhabt ka dawedar tha.aaj jab woh es duniya main nahi hain tu ehsas ho raha hai kay hum aik aissi shakhsiyat ko kho bhaty hain.'jis ki judai ka ghum barsoo mundmil nahi ho saky ga.salma bhabi kay dukh ka andaz nahi lagaye ja skta.Rafique safar ki dahmi judai ka sadma sahna asan nahi.Allah unye aor en ki batiya ko sabar jameel atha karay aor bai sahib  ko jinhe mahroom kahnye ko ji nahi chata' apne jawar rahmat main jaga daye.(ameen)   

0 comments:

Post a Comment