Sunday 15 March 2015

Aik sawal Namye ka jawab nama

Aj hame aik bara sa jahaze size ka card daak me mila ha.jis ka aik taraf tou hamra pata likha ha.makarmi mazmi wagara alkabaat ka sath dosri taraf card chapne aur bejhne wale ka nam ha.

Kidmat Awami Parti_(gair sayasi)
es ka neche chand sawalat darj hain.
1_kia ap adare ya mehkame ka saman astranationry  wagara apne zati aistemal ka liay ghar tou ni le jate..?
2_kia ap apne daftri okaat ko kush gapio ya dosto ki khatir tawazia me tou zia ni karte ?
3_kia ap dafter ka kam khatam ho jane sa pehle koskh tou ni jate.?
4_kia ap apne dafter ka kam jaan bojh kar takeer sa tou ni karte.?
5_kia ap kisi aziz ya muhartama ko apne sarkari teli phone sa muft call karne ki ejazat tou ni date..?
6_kia ap apne dafter me kam karne wali kawateen ko es nigha ehtraam sa dakhte hain jase apni kawateen kop .,?
7_kia tankawa lete waqt ap ka zameer tou kabi malamat ni karta..?

(1).Baz log manfi zehniyat ka hote hain ham ain me  sa ni hain.chunacha pehle panch sawalat ki had tak hamra jawab asbaat me ha.beshak apne adare ki astranationry le jate hain lekin es per zati aistemal ki tohmat ni laga sakte.aik tou es liy ka zada tarbio ka kam ati ha ya es per dohbi ka hasab likhte hain so dohbi ki zat aut hamri apni zat me farq ha agr es stationary sa katot likhte bi hain tou her chand ka kud likhte hain lekin wo jate tou dosro ka nam ha.dosre log hamri zat ki tareef me kase a sakte hain.

(2).dosre sawal me lafz zia ka aistemal per hame etraaz ha.balke ham es per ehtejaj karte hain.kush gapio aur dosto ka lutf suhbat sa damagh taza hota ha aur agle roz kam karne ka liy admi taza dam aur mustad ata ha.agr agle roz bi wo ehbab a jate hain tou es sa agle roz samjiay.
  
Ae zok kisi hamdam darena ka milna 
behter ha mulakat masiha wa gazr sa

(3).Tesre sawal ka jawab tou asbaat hi me ha lekin koskane ka lafaz yaha be makhl ha.aik senima me koi sahab filam dakh ray tay wo ti koi temeri kisam ki chunacha karate lane lage pass wale ne motaraz ho kar jagia aur malamat ki ka bale mans karate le kar dosro ki nend me ku kalal dalta ha.chupke sa nikal jane me kabi kuch esi kisam ki musalt ha.koi dakh le aur puch le aur ba peras karne lage tou kud hi souche es me kitne waqt zia ho ga aur wo sarkari waqt hi ho ga.

(4).Chotay sawal ka jawab bi han ha aur hukamat es me ya ha ka agr jat pat kam kar dia jay tou phr dafter ki zarorat ni rehti.ta keer me kai fiday hain aik admi ka kam karne ka liy panch admi rakhe jate hain.mulak me berazgari kam hoti ha.ta keer ka asbab malom karne ka liy camission bethtata ha.es me nia amla wa mila barti hota ha.es sa berozgari mazeed khatam ho jati ha.

(5).Panchwain sawal ka jawab me ham khain ge ya bi koi puchne ki bat ha jab kisi muhtarma ko ham kud mufat call karte agr wo kud a kar muft  call kar le tou kia mazika ha.

(6). dafter me kam karne wali ortain agr mamoli sorat ki ya masn hain tou eklaq ka taqaze samne a jate hain tou ain ko mahain behnain betiah samja jay wese aj kal ghr gaat yani ghar aur dafter me chandah faraq ni rah.
 magrib me tou aam bat ha ka agr koi sectry kubsorat ha tou musdtaqbil me apne afsar ki ghar wali ban jati ha aur ghar aur dafter ka parday uth jate hain.

  (7).Satwain sawal ka jawab ha je ni.malamat ni karta.kia majal ha ka kare ajbata tankawa lain tou zaror malamat karta ha.

0 comments:

Post a Comment