Monday 2 March 2015

Barish - Zehmat Kyn ?

Baresaghir mein july sy ly kar September tak mgatarol kay mutabik moon soon ki barishein hoti hein. jo zameen ko naye zakhezi ata karti hein aur fasloon aur baghat kay leye hayat-e-nu ka pegham ly kar ati hein. lakin ye bari ajeeb bat ha kay watan-e-aziz mein ye barshein shehrioon kay leye azab ban jati hein. zara si barish kay bad sarkein sevreg kay naqas tareen nazam kay bais talab ka manzar pesh karny lagti hein, gatar ublny lagty hein aur transport ka pura nazam jo pehly he behad naqara ha mukamal tor per jawab dy jata ha. naqas tamerat ki waja sy kaye log chatein girny sy jabahaq ho jaty hein aur kaye bijli kay kambooh mein karant ah jany sy apni jan sy hath dooh bethty hein. ab tak ki itlat kay mutabik punjab mein inhi wajoo ki binah per 9 our mulaq bar mein 20 afrad nazar ojal ho chuky hein. 11 amartein zameen boos ho gaye hein mulak kay sab sy bare shehar karachi mein ye alam ha kay basrih ka akk chinta he bijli kay break down sy ly kar batreen traffic jaam, sevreg nazam ki nakami, makdoosh amartoon kay jan leva hadsaat, puri shehri zindghi mutal karny ka zarea ban jata ha dosry seheroon or kasboon kay halat bi is sy mukthlif nahe. yehi wo suratee hall ha jis ny mulak barh mein awam  ki barii aksriyat barshoon sy lutaf andooz hony kay bajaye sakth mushkilat aur azitoo ka samana karti ha. ak taraf to barishoon kay sabab sy mazkora bila takleef deh suratehall ka samana karna parta ha aur dosri taraf jab dariyoon mein any wala silab kinaroon sy uchalta ha tu kheri fasloon ko he tabah nahe karta gareeb kisanoo kay makanoo aur jamphrioon ko bi baha ly jata ha. sawal ye ha kay hamari hakoomtein 68 sall guzarny kay bawajood apny shehrioon ko sarkoon aur sevreg ka koi maqool nazam dene mein kyn kamyab nahe ho saky aur har sall karoroon rupy kay aklhrajat kay bawajood baldiyati adary sy apni karkardagi ko kyn behtar nahe bana saky?.

0 comments:

Post a Comment