Sunday 1 March 2015

Shohar Bara-e-Farokhat.

Bazar mein ak naye dokan kholi jaha shohar farokhat keye jaty thy. Is dokan kay khulty he kafi tadad mein larkiyaan or aurtein bazar ki taraf nekal parein. sab he dokan mein dakhil hony ky leye bechein thein. Dokan kay dakhly per ak bord rakha tha jis per likha tha...

'Is dokan mein koi b aurat ya larki siraf ak waqat mein ak he dakhil ho sakti hai'

pher nechy hidayat di gaye thein..

' Is dokan ki 6 manzalein hein har manzil per os manzil kay shohar kay bare mein likha hoga, jesy jesy manzil barthijaye gi shoshar ki khobiyoon mein azafa hota jaye ga, kharedar larki kisi b manzil sy shoshar ka intakhaab kar sakti ha or agr ak manzil per shoshar passand na aye tu uper ki manzil ka intkhab kar sakti ha lakin ak bar uper jany kay nechay nahe ah sakti sawae bahir jany kay'

Ak khoobsorat larki ko sab sy pehly dokan mein dakhil hony ka moqa mela, Pehli manzil kay darwazy per likha tha

'Is manzil kay shohar barsare rozghar aur Allah waly hein'

Larki aghay barh gaye, Dosri manzil kay darwazy per likha tha

'Is manzil kay shohar barsare rozghar hein, Allah waly hein aur bachoon ko passand karty hein'

Larki phr aghy barh gaye, Tesri manzil kay darwazy per likha tha

'Is manzil kay shohar barsare rozghar hein, Allah waly hein, bachoon ko passand karty hein aur khoobsorat b hein'

Yeah parh kay larki kuch der kay leye ruk gaye magar phr ye soch kar kay chalo ak manzil aur ja kay dekhty hein Aur wo uper chali gaye, chothi manzil kay darwazy per likha tha

'Is manzil kay shohar barsare rozghar hein, Allah waly hein, bachoon ko passand karty hein khoobsoraat hein aur ghar kay kamoon mein madad b karty hein'

Yeah parh kar aurat ko chakar sa any laga kay kaya ase b marad hein duniya mein ? wo sochny lagi kay shohar khreed ly aur ghar chali jaye, magar dil na mana wo ak or manzil uper chali gaye,  waha darwazy per likha tha

'Is manzil kay shohar barsare rozghar hein, Allah waly hein, bachoon ko passand karty hein, behad khoobsorat hein, ghar kay kamoo mein madad karty hein aur romantic b hein'

us aurat kay oossaan jawab dene lagy, wo kahyal karny lagi kay ase mard sy behtar bala aur kaya ho sakta ha magar oska dil phr b na mana woh aghli manzil per chali aye, Yaha ak bord per likha tha

'Aap is manzil per tashreef lany wali 7355 number khatoon hein, is manzil per koi b shohar nahe ha, ye manzil is leye banaye gaye ha taky is bat ka saboot deya ja saky kay 

"Auraat Ko Mutmeen Karna Na Mumkin Ha"

Hamary sotre per any ka sukrea Seriyaan bashir ki taraf jati hein.

0 comments:

Post a Comment