Saturday 14 March 2015

Maria Syed Wajid Ali Ki Dairy Sy...

Hamera rahat kisi taruf ki muhtaaj nahe. Wo na siraf achi afsana nagar hein balky umda shaira kay tor per manzar-e-aam per ah rahi hein. 'Anchal mein udasi' hamera rahat ka pehla shairi majmoa ha. Is majmoe sy ak haqeeqat sy qareeb tar ghazal apki nazar kar rahi hon. umeed ha ap logo ko passand aye gi...

Zehan hai kamoosh, Dil teehra huwa, Ufkaar chup
Mudatoon sy hein mere ghar kay daro dewar chup

Har taraf maqtal mein insani lahoo pehla raha
Aur rahy insaniyat kay sare tahkedar chup

Jesy kamooshi ki teh mein koi hungama paly
Yun achanak ho gaye hein chehkhty bazar chup

Naik o bad kay darmeyaan jo farak tha, jata raha
Aadmi tu bolta ha, ho gaya kardar chup

Kahwaishoon ka rizaq hein ab tu qalam ki humatein
Huraf b kamoosh hein aur lafaz ka meyaan chup

Nam kay izat kay phr ik qatal, choti si khabar
Os ka passmanzar ha kaya? hai ajj ka akhbar chup.

0 comments:

Post a Comment