Saturday 14 March 2015

Kuch Andoo Ki Taraf Dari Mein.

Dunia me ya bais hamesha sa chali a rai ha ka anda pehle ya murgi.kuch log khate hain anda.kuch ka khana ha murgi.aik ko ham murgi aschool ya firqa murgia kha sakte hain.dosre ko anda aschool.hame anda aschool sa munsalik samjana chahy.milat beza ka aik fard janana chahy.hamra akeda es bat me ya ha ka agr admi tanedar ya molvi yani fikia sher ho to es ka liy murgi pehle....aur ham esa graib sher  ho to es ka liy anda pehle...aur garaib sher sa bi gia guzra ho to na es ki dastaras murgi tk ho sakti ha na anda es ki grift me a sakta ha.es apni zaat aur es ki baqa ko ain chezoon sa pehle janana chahy pehle mukadam rakhna chahy.

Aik zamane me hamra dayan kabi kabi murgi ki tarf bi jaia karta ta.lekin jab sa  bakri ka daam ghayee ki kemat ka baraber howe hain aur murgi bakri ka daam pane lage ha aur anda murgi ka bahoo dastayab hone laga ha hamre liy anda he murgi ha.ham wahdat alwajod ki manjal me agay hain.anda youh bi bari kubiyoo ki chez ha.es me safedi hoti ha.es me zardi hoti ha.ese dana ni dalna parta.ya beat ni karta.biliah es ki jaan ki kawah ni hoti.es ka liy darba ni banwana parta.es ka kohl pe rang kar ese ghar me saja sakte hain.han kabi kabi ya ganda zaror nikal jata ha.sawa ese asani sa utha ka gali me pankha ja sakta ha.Allama Iqbal bi jab nai tehzeeb ka kisi gande ande ko dakhdte tay.yahe kha karte tay.afsos ka purane tahzeeb ka gande andoo ka mutalik aino ne apne kalam me koi wazia hadayaat ni chori.es liy ain ka aqeedat mandaan sambhal  sambhal kar rakhe ja rain hain.
  
Allama Iqbal ka aik shahrah ne tou es share ki madat sa Allama Iqbal ki garalo zindagi per bi pura maqala likh dia ha.aj kal dastoor yai ha ki galib ki zindagi maloom karni ha tou ain ka dewan sa akaz karo ka wo sher me be abroo pehra karte tay.dohl dahpia aur peesh dasti kia karte tay dar kaba sa olty pher aya karte tay seedhay ni aur marne ka bad bi bola karte tay.

"ki mare katal ka bad es ne jafa sa toba "
wagara wagara_ ain sahab ne likha ha ka Allama Iqbal aik  roz bazar sa nai tahzeeb ka chand anday le kar ay.ain ki bivi amlate banane behte tou aine dosra misra parhna para.

nai tahzeeb ka anday hain ganday es per Allam mosof ne turki ba turki yani misrah ba misrah hadayat ki ka.
ain ko utha kar pankh do bhr gali me  ya tahqeek yaha khatam ni ho jati kuka aitni si bat ko her amme bi samjh sakta ha.sharah mosof  ka khana ha ka shyer ka ghar kisi gali me ta.ya share lazman ain dino ka ha"jab Allama marhoom ne mu road per abi apni kohti ni bani ti.warna wo ya farmate ka utha ka pankh do bhr sarak per janb mehqaq ne Allama Eqbal ki zaban me nuqas bi daryafat kia ha ka bhr ka lafaz zahaid ha kuka gali ghar ka andar ni hoti.mazeed likha ha ka doctor sahab ko her mamle me kahmkawa apni ray dane ki adat ti warna gandy anday ko gali me pankhne ka fesla ain ki bi bi kud bi kar sakti ti.

shahrah mosof ne ya bi likha ha ka ya share Allama eqbal marhoom ka aibtaday jawani ka ha.jab ainain pehlwani,kasrat aur kartab bazi sa dilchaspi ti.wo bhari bhari wazan utha kar do char bar gardish date tay.phr pankhte tay.ain ki adat sania ban chuki ti,es liy kha ha ka utha kar pankh do sirf pankh do khana kafi ni samja.mamla andoh he ka ku na ta.hamre khayal me es share sa abi aur mani nachorne ki bi kujaish ha.

Allama marhoom ko apne batan ki safai ki taraf zada dayan rehta ta.bhr ki safi ka kuch khayal ni karte tay warna wo ya bi na farmate ka ande utha ka bhr gali me pankh do.ainain kore ka daam me pankhna chahy ta.bhr kisi bhale admi ki achanak per girh jate tou brah fazehta hota.

kuch log khate hain ka hamri koom ko Allama Eabal marhoom ki her hadayat per ankh band kar ka amal karna chahy.hamri ray me apni akal ka wajbi aistemal bi kar lene chahy.tori ehteyat bi lazm ha.her kosha gandam ko jalane,mermer ki silooh sa na kush  wa bezaar hone, es rizaq sa moot ache hone aur gandam anday gali me utha kar pankh dane ka mutalik ashare es ki mehaz  chand masalain hain,

Aj andooh ki tarf rah rah kar hamra dayan jane ki kai wajain hain,aik tou sardi dosre hukamat ka ya elaan ka goshat aur dodh ki tarah andooh ki bi kimtain muqarar ki  ja rai hain ta ka muqarar kimtoon per na milain.tesrey shad arfi marhoom ka aik nadra kar share hamri nazar sa guzra ha.sayad aur faqas aur nashmeen ka mazmoon bhuuttt sherroh ne bandain hain.nay rang aur nay dang sa bi bandhe hain.kud Allama Iqbal marhoom ne bi aik bulbul ki faryad likhe ha lekin es mazmoon ka jumla mutalkaat per kisi ki nazar ni gay ti.
Farfate hain:shad arfi raam puri_

ainain bi sath lena ja,khain  tikiah bna lena  arey sayad do  anday be rakhe hain nashmeen me anday ka mazmoon tou kahtam howa lekin apne dost anka ka shukriay ka sath shad arfi marhoom ka chand aur ashare_

Ta chand bagbani  sehra kare koi
lekin sawal ya ha ka pher kia kare koi

janb sheikh he ab reh gay hain le da ka
wo din gay ka kisi bharam pe chot karu

sitam girh ko me charah  girh  kha chukha hn
galt kha rah hn maghar kha rah hn

kante chune jo ham ne ser ray koi dost
jaghrah ya ha dikhao hame kia utha lia

jafa wajore ko kubi tou ham samjahte hain
hukomtoon me ni balke  ma jinoo me.

0 comments:

Post a Comment