Saturday 14 March 2015

Nimra Iqra Ki dairy Sy...

Bazooq afrad ki dairy aur library Nasir kazmi kay bager aduhri hoti ha, shakestagi, mayusi, becharghi, tanhai, saguftagi, aas aur umeed kay sat rang moteoon ki lari, app sab kay leye pasandida tareen ghazal.

Dil mein ik lehar si uthi ha abi
koi taza hawa chali ha abi

Sor barpa ha khana-e-dil mein
koi dawar si giri ha abi

Bari duniya mein je nahe lagta
jany kis chez ki kami ha abi 

Tu sarik-e-sukhan nahe ha tu kaya
hum sukhan tere kamoshi ha abi

Yaad kay benashan jaziroon sy
tere awaz ah rahi ha abi 

Shehar ki becharag galioon mein
zindghi tuj ko doondhti ha abi

So gaye log is haveli kay
ak kharki magr khuli ha abi

Tum tu yaroo abi sy uth bethay
shehar mein raat jagti ha abi

Kuch tu nazuk mizaj hein hum b
aur ye chout abi naye ha abi.

0 comments:

Post a Comment